Thursday, June 21, 2018

Aurat ko muashry mein apna kirdar pehchany ki ashaad zaroorat

Huwa ki beti dor jahiliat sy zulmat ki chaki mei pesti a rahi hai . kahin is beti ko zinda dafnany k alamnak waqiyat to kahin bety ko tarjee dy kr is bei ko ehssas e kam tari k garhy mein daba kr muashrati iqdaar ko zawaal pazeer kia gaya. Deen e islam ny jahilana rasoom k tamaam darwazy band kr k aurat ki izat o hurmat ka khaas khayal rakha, aur aurat ko bahasit beti, behen ,bahu, biwi aur maa k wo huqooq muhaiya kiye k degar mazahib mei is ki missal nahi milti





Aurat hamary muashray mein is snaf ka kirdar or muqam ha mere muashray me is waqt jo aurat ka kya kirdar or kaam hais hwale se mujh sameet aksariyat ki soch ek kamzor or be bas makhloqse aage nh jaati taleem yafta ho ya ghair taleem yafta aurat jis izzat or muqaam ki haqdaar ha ya jo kirdar who ada kar sakti ha. Kya hum mein se koi is haqeeqat se waqf hai. Aurat jis ko awaleen darsgah ka darja hasil ha or jo chahe to apni tarbiyat se muashry ki tameer mein aham muqaam aada kar sakti ha. Lekin aaj na maloom kin la yaqeeni uljhano or by maqsad kharafaat mein uljhi ha ya na jany isko uljha dya gaya ha. Kaha jata ha k kc bhi fard ya shaqsiyat se is ki taqat chenny ka bhetreen tareeka ye ha k isy khud tarsi or ehsas e kamtari ka shikar bana dya jae or inthai afsoos ke sath hmare muashre ki aurat ke saath ye hi sulook rawan rkha ja raha. hai

Bazhair ye maloom hota ha k pakistan ki abadi mein aksariyat or taleemi maidano mein numaaya kamyabyoon k bawajood muashry mulk or qom ki taraqqi mein hmara kirdar na hone k brabar ha. Is ki bunyadi waja kia hai…. ye ek bara sawal ha. Akhir jab tmam barabari k hoqooq diye jane k daway bhi kiye ja rhe ha or tmamm taraqi k darwazy bhi aurat k liye khuly hain to phir kia kaami r kutahi hai. Jo aurat apna muasar aur musbat kirdar ada nahi kr rahi hai. Is mamly pr mein kc mahirana ya hatmi raye ka izhar to nahi kr sakti bila shuba umar aur tajarby mein bht sy danishwaroon k samny na pukhta khayalat ki malik hoon. Lykin meri apni zaati raye mein is sary mamly mein hamary any hi muashrati rawaye karfarma hain. Kahin to aurat hi ani taqat sy nawaqif hai khud pr na aitbari aur aitmad ki kaami usy kar haye numaya injaam deny sy rukti hai.Kahi is ko huqooq naswaan k naam pr by rah ravi k raasty pr daal diya jata ha aur kahin is pr aitmaad na kr k is ki saliyatoon ki tazleel ki ja rahi hai. Hum agr ek islami muashry k hawalye sy apni tareekh ka jayeza lyen to humein pata chalta hai k maazi ki aurat apny kirdar aur apni taqat sy aj ki aurat k muqably mein zayada agah thi aur is ki yeh agahi is ki any wali nasloon mein jhalkti thi k humein mazi ma kai namwar siyasatdano,sainsdano,danishwaro, alimo k naam suny ko milty hain . waqt arhny r in khwateen ny amli medan mein nikal kr bhi ani taqat ka loha manwaya k inhe apni taqaat ka ba khoobi azdaza tha.

Aurat chayhe ghareelo khatoon ho ya phr mulazmat peesha ho is ka kaam muashry ki bunyadoon ko mazboot rakhna hai jo is ky elawa koi aur ada nahi kr sakta. Mein aj ki aurat pr nazar dalti hun to mjhe is baat ka shidat sy ehsaas hota hai k aalmi muqably bazi ki dorh mein is ka wo muqam bhula dia gaya jo isy ata kia gaya tha. Media pr dekhy to wahan humein aik rooti sooti zulum sehti by bas aur la char aurat filmo aur dramo mein dhkhaiye jati hai ya phr naam nihad huqooq naswan ki alambardar modern aur maghrib zada aurat nazar ati hai jis ma haqeeqt kaam aur afsana zyada hota hai. Jin riwayat , miras, ikhlaqi iqdar aur muashrati islaah ki riwayat agli nasloon mein muntaqil karna aurat ki zamadari hai who hum khud hi bhula chuky hain ya hum yu keh sakty hain k taleem yafta k bajaye humare muashry ki aurat degree yafta ho gai ha jis me tarbiyaat ka fuqdan barh rha ha or tarbiyat k bagher to taleem mukammal hu hi nai saakti ek ba waqar, apni riwayat ki ameen, mazboot aur taqaat war aurat ki jagah humein hari hui, dusroon k bataye huye raasto r chalti aur ehsaas kam tari ka shikar aur fashion aur taraqi k naam pr maghrabi tehzeb sy mutasir aurat nazar ati hai.




Ese surat haal mein is baat ki ashaad zaroorat hai k aj hum apni saliyatoon aur tawaniyoon ko musbat rah mein achy aur bury ki tamiz k sth istemal krna seekhein. Jo izaat muqaam aur martaba kabhi hume is muashry mein hasil tha who izat muqaam aur martaba mazeed barhhany k lye jahan hume khud koshish krny ki zraoorat hai wahin muashry k mardoon sy bhi guzarish hai k apni maaon, beheno, betiyon aur khwateen shagirddon , kuleegz ki saleyatoon pr itmaad aur yaqeen karein inki husla afzai karein aur inki shaksiyat sazi ese karein k inka apni zaat pr etmaad barh jaye.



0 comments:

Post a Comment